Aazadi ki awaaz
Yaad karo O mitro ,
Amar shahidon ka balidan,
Is mitti ka naman karo,
Ki gunj uthe har insaan.
Rang-roop ko bhulakar,
Bunte hein ek sansar,
Vidya ki jyoti jalakar,
Sapno ko de aakar.
Hae matrabhumi rinni hoon mein tera,
Ann jal tujhi se hai paya,
Isi mitti mein bachpan bita mera,
Sada rahe mujh sang tera saaya.
Swadesh seva hi ho,
Saccha dharam tumhara,
Deen raksha hi ho,
Sarva pratham karma hamara.
Jeevan hai kshanik vyarth reh jayega,
Maati ka putla matti mein mil jayega.
Amar shahidon ka balidan,
Is mitti ka naman karo,
Ki gunj uthe har insaan.
Rang-roop ko bhulakar,
Bunte hein ek sansar,
Vidya ki jyoti jalakar,
Sapno ko de aakar.
Hae matrabhumi rinni hoon mein tera,
Ann jal tujhi se hai paya,
Isi mitti mein bachpan bita mera,
Sada rahe mujh sang tera saaya.
Swadesh seva hi ho,
Saccha dharam tumhara,
Deen raksha hi ho,
Sarva pratham karma hamara.
Jeevan hai kshanik vyarth reh jayega,
Maati ka putla matti mein mil jayega.

Comments
Post a Comment